suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein
najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai
Ameer Qazalbash
kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
hota rahta hai yun hi qarz barabar mera
Athar Nafees
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
zor qismat pe chal nahin sakta
KHamushi iKHtiyar karta hun
Aziz Hyderabadi
hamesha tinke hi chunte guzar gai apni
magar chaman mein kahin aashiyan bana na sake
Aziz Lakhnavi
itna bhi bar-e-KHatir-e-gulshan na ho koi
TuTi wo shaKH jis pe mera aashiyana tha
Aziz Lakhnavi
ulbul ko baghban se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
---
---
Bahadur Shah Zafar