usi ko dasht-e-KHizan ne kiya bahut pamal
jo phul sab se hasin mausam-e-bahaar mein tha
Junaid Hazin Lari
dekhiye kya dikhati hai taqdir
chup khaDa hun gunahgaron mein
Lala Madhav Ram Jauhar
yar par ilzam kaisa ai dil-e-KHana-KHarab
jo kiya tujh se teri qismat ne us ne kya kiya
Lala Madhav Ram Jauhar
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qarun ko bhi apna KHazana nahin milta
Mirza Raza Barq
nairangi-e-siyasat-e-dauran to dekhiye
manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the
Mohsin Bhopali
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
your love by any means I could not gain
Or else in life what would not one attain
Momin Khan Momin
aad marne ke meri qabr pe aaya 'ghafil'
yaad aai mere isa ko dawa mere baad
Munawar Khan Ghafil