اردو हिंदी
Lafz jab koi na hath aaya maani ke liye | Shaahi Shayari
lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

Ghazal

Lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

Sajjad Baqar Rizvi

;

lafz jab koi na hath aaya maani ke liye
kya maze hum ne zaban-e-be-zabani ke liye

ye do-raha hai chalo tum rang-o-bu ki khoj mein
hum chale sahra-e-dil ki baghbani ke liye

zindagi apni thi goya lamha-e-furqat ka tul
kuchh maze hum ne bhi umr-e-jawedani ke liye

main bhala ThanDi hawa se kya ulajhta chup raha
phul ki KHush-bu bahut thi sargirani ke liye

TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye

rakh armanon ki gili lakDiyan ehsas ki
hum ko ye saman mile shoala-bayani ke liye

shama ho fanus se bahar to gul ho jaegi
bandish-e-alfaz mat toDo maani ke liye

do kinare hon to sail-e-znidagi dariya bane
ek had lazim hai pani ki rawani ke liye

aaj kyun chup chup ho 'baqar' tum kabhi mashhur the
doston yaron mein apni KHush-bayani ke liye