kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein
Bahadur Shah Zafar
ishq ne mansab likhe jis din meri taqdir mein
dagh ki naqadi mili sahra mila jagir mein
Baqaullah u0027Baqau0027
hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam uTha
Bashir Badr
kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha
mujhe malum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
Bashir Badr
tadbir se qismat ki burai nahin jati
bigDi hui taqdir banai nahin jati
Dagh Dehlvi
kabhi meri talab kachche ghaDe par par utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Darta hun
Fareed Parbati
kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi
jis ki taqdir bigaD jae wo karta kya hai
Firaq Gorakhpuri