meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'
dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai
Ghulam Husain Sajid
na to kuchh fikr mein hasil hai na tadbir mein hai
wahi hota hai jo insan ki taqdir mein hai
there is naught from worrying, nor from planning gained
for everything that happens is by fate ordained
Hairat Allahabadi
jo chal paDe the azm-e-safar le ke thak gae
jo laDkhaDa rahe the wo manzil pe aae hain
Hairat Saharvardi
wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin
aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin
Hasrat Mohani
justuju karni har ek amr mein nadani hai
jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai
Imam Bakhsh Nasikh
phul khile hain gulshan gulshan
lekin apna apna daman
Jigar Moradabadi
maqbul hon na hon ye muqaddar ki baat hai
sajde kisi ke dar pe kiye ja raha hun main
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
Josh Malsiani