اردو हिंदी
Dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya | Shaahi Shayari
dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya

Ghazal

Dil pa ke uski zulf mein aaram rah gaya

Qayem Chandpuri

;

dil pa ke us ki zulf mein aaram rah gaya
darwesh jis jagah ki hui sham rah gaya

jhagDe mein hum mabaadi ke yan tak phanse ki aah
maqsud tha jo apne tain kaam rah gaya

na-poKHtagi ka apni sabab us samar se puchh
jaldi se baghban ki wo jo KHam rah gaya

sayyaad tu to ja, hai par us ki bhi kuchh KHabar
jo murgh-e-na-tawan ki tah-e-dam rah gaya

qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya

maren hain hum nagin-e-sulaiman ko pusht-e-dast
jab miT gaya nishan to go nam rah gaya

ne tujh pe wo bahaar rahi aur na yan wo dil
kahne ko nek-o-bad ke ek ilzam rah gaya

mauquf kuchh kamal pe yan kaam-e-dil nahin
mujh ko hi dekh lena ki nakaam rah gaya

'qaem' gae sab us ki zaban se jo the rafiq
ek be-haya main khane ko dushnam rah gaya