اردو हिंदी
Har choT par zamane ki hum muskurae hain | Shaahi Shayari
har choT par zamane ki hum muskurae hain

Ghazal

Har choT par zamane ki hum muskurae hain

Hairat Saharvardi

;

har choT par zamane ki hum muskurae hain
lekin tere KHayal mein aansu bahae hain

had ko pahunch gai hai meri na-mardiyan
manzil ke pas aa ke qadam Dagmagae hain

ai zulf-e-kaenat tujhe kya KHabar ki hum
kin pech o KHam se chhuT ke tere pas aae hain

ai jaan-e-kaenat tere intizar mein
hum ne kai charagh jalae bujhae hain

jo chal paDe the azm-e-safar le ke thak gae
jo laDkhaDa rahe the wo manzil pe aae hain

'hairat' nizam-e-kohna ki tarikiyon mein bhi
hum ne nizam-e-taza ke dipak jalae hain