اردو हिंदी
Aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai | Shaahi Shayari
aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai

Ghazal

Aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai

Ghulam Husain Sajid

;

aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai
us ke hone pe yaqin bar-e-digar aata hai

zehn o dil karta hun jab ranj-e-jahan se KHali
koi be-tarah meri ruh mein dar aata hai

guftugu karte hue jate hain phulon ke giroh
aur chupke se daraKHton pe samar aata hai

bach nikalne pe mere KHush nahin wo jaan-e-bahaar
koi ilzam mukarrar mere sar aata hai

lauT jaane ki ijazat nahin dunga us ko
koi ab mere taaqub mein agar aata hai

meri aanhken bhi mayassar nahin aatin mujh ko
jab mulaqat ko wo KHwab-e-sahar aata hai

meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'
dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai