اردو हिंदी
Lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein | Shaahi Shayari
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein

Ghazal

Lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein

Bahadur Shah Zafar

;

lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein

my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state

kah do in hasraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar mein

desires should be told to find some alternate
this scarred heart has no room to accomodate

kanTon ko mat nikal chaman se o baghban
ye bhi gulon ke sath pale hain bahaar mein

a long life, four days in all, I did negotiate
two were spent in hope and two were spent in wait

bulbul ko baghban se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein

---
---

kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein

---
---