اردو हिंदी
Maut us bekas ki ghayat hi sahi | Shaahi Shayari
maut us bekas ki ghayat hi sahi

Ghazal

Maut us bekas ki ghayat hi sahi

Akbar Haidri

;

maut us bekas ki ghayat hi sahi
umr bhar jis ne musibat hi sahi

husn ka anjam dekhen ahl-e-husn
ishq mera be-haqiqat hi sahi

zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi
kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi

dekh leta hun tabassum husn ka
gham-parasti meri fitrat hi sahi

parda-dar-e-sadgi hai har ada
ye tasanno be-zarurat hi sahi

darpai-e-azar hai qismat to ho
ab mujhe tum se mohabbat hi sahi

hur-e-be-ja ki talafi kuchh to kar
KHair izhaar-e-nadamat hi sahi

ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai
zindagi teri amanat hi sahi

kya karun 'akbar' dili jazbaat ko
is taghazzul mein qadamat hi sahi