اردو हिंदी
Jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha | Shaahi Shayari
jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha

Ghazal

Jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha

Bashir Badr

;

jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha
sahra mein koi lala-e-sahra khila na tha

do jhilen us ki aankhon mein lahra ke so gain
us waqt meri umr ka dariya chaDha na tha

jagi na thin nason mein tamanna ki naginen
us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha

DhunDa karo jahan-e-tahayyur mein umr bhar
wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha

ek bewafa ke samne aansu bahate hum
itna hamari aankh ka pani mara na tha

wo kale honT jam samajh kar chaDha gae
wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha

sab log apne apne KHudaon ko lae the
ek hum aise the ki hamara KHuda na tha

wo kali aankhen shahr mein mashhur thin bahut
tab un pe moTe shishon ka chashma chaDha na tha

main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein
sar par ghanere baal the matha khula na tha