nahin hoti hai rah-e-ishq mein aasan manzil
safar mein bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai
Farhat Nadeem Humayun
gham-e-ishq hi ne kaTi gham-e-ishq ki musibat
isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhaara
Farooq Banspari
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
Fatima Hasan
ahut dinon mein mohabbat ko ye hua malum
jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui
Firaq Gorakhpuri
ishq ab bhi hai wo mahram-e-be-gana-numa
husn yun lakh chhupe lakh numayan ho jae
Firaq Gorakhpuri
ishq phir ishq hai jis rup mein jis bhes mein ho
ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijran ho jae
Firaq Gorakhpuri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi
Firaq Gorakhpuri