اردو हिंदी
Sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha | Shaahi Shayari
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

Ghazal

Sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

Fatima Hasan

;

sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha

jo iztirab ka mausam guzar aaen hain
wo jaante hain ki wahshat ka kya zamana tha

wo jin ko shikwa tha auron se zulm sahne ka
KHud un ka apna bhi andaz jarehana tha

bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin
wo rut guzar gai har KHwab jab suhana tha

kab us ki fath ki KHwahish ko jit sakti thi
main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha