اردو हिंदी
KaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae | Shaahi Shayari
kaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae

Ghazal

KaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae

Anwar Shuoor

;

kaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae
digar-gun hain mere haalat jab se tum nahin aae

lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae

na ki jati hai auron se mulaqat ek lamhe ko
na ho pati hai KHud se baat jab se tum nahin aae

pata chalta nahin tha saaton ka jab tum aate the
guzarte hain garan lamhat jab se tum nahin aae

na ghar wale na ham-sae na ahbab-o-aizza hain
ye dil hai ya KHuda ki zat jab se tum nahin aae