اردو हिंदी
Gulzar-e-hast-e-bud na begana-war dekh | Shaahi Shayari
gulzar-e-hast-e-bud na begana-war dekh

Ghazal

Gulzar-e-hast-e-bud na begana-war dekh

Allama Iqbal

;

gulzar-e-hast-o-bud na begana-war dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh

aaya hai tu jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de na jae hasti-e-na-paedar dekh

mana ki teri did ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intizar dekh

kholi hain zauq-e-did ne aankhen teri agar
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar dekh