puchho na araq ruKHsaron se rangini-e-husn ko baDhne do 
sunte hain ki shabnam ke qatre phulon ko nikhaara karte hain 
wipe not the droplets from your face, let beauty's lustre grow 
drops of dew when flowers grace, enhance their freshness so
Qamar Jalalvi
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol 
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaa
Qamar Jalalvi
uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan 
dekhne wale use taj-mahal kahte hain
Qateel Shifai
aaina dekh ke kahte hain sanwarne wale 
aaj be-maut marenge mere marne wale 
on seeing her own reflection she is moved to say 
ere their time, my paramours shall perish this day
Rasheed Rampuri
koh sangin haqaeq tha jahan 
husn ka KHwab tarasha hum ne
Ravish Siddiqi
chandni raaton mein chillata phira 
chand si jis ne wo surat dekh li
Rind Lakhnavi
kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho 
kya aag lagaoge barfili chaTanon mein
Saghar Azmi

