اردو हिंदी
KHwab-e-didar na dekha humne | Shaahi Shayari
KHwab-e-didar na dekha humne

Ghazal

KHwab-e-didar na dekha humne

Ravish Siddiqi

;

KHwab-e-didar na dekha hum ne
ghaebana unhen chaha hum ne

kam na tha ishq azal se ruswa
kar diya aur bhi ruswa hum ne

zindagi mahw-e-KHud-arai thi
aankh uTha kar bhi na dekha hum ne

rah se dur nazar aae jo KHar
un ko palkon se uThaya hum ne

le liya koh-e-hawadis sar par
waqt ke dil ko na toDa hum ne

kar diya fash tera gham le kar
raaz-e-ejaz-e-masiha hum ne

koh sangin haqaeq tha jahan
husn ka KHwab tarasha hum ne

dard aaluda-e-darman tha 'rawish'
dard ko dard banaya hum ne