اردو हिंदी
Phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein | Shaahi Shayari
phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein

Ghazal

Phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein

Saghar Azmi

;

phulon se badan un ke kanTe hain zabanon mein
shishe ke hain darwaze patthar ki dukanon mein

kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho
kya aag lagaoge barfili chaTanon mein

bas ek hi Thokar se gir jaengi diwaren
aahista zara chaliye shishe ke makanon mein

allah-re majburi bikne ke liye ab bhi
saman-e-tabassum hai ashkon ki dukanon mein

aane ko hai phir shayad tufan naya koi
sahme hue baiThe hain log apne makanon mein

shohrat ki fazaon mein itna na uDo 'saghar'
parwaz na kho jae in unchi uDanon mein