kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai
Jigar Moradabadi
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
Jigar Moradabadi
tere jamal ki taswir khinch dun lekin
zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin
Jigar Moradabadi
is dil mein tere husn ki wo jalwagari hai
jo dekhe hai kahta hai ki shishe mein pari hai
Josh Malihabadi
dagh-e-jigar ka apne ahwal kya sunaun
bharte hain us ke aage sham-o-charagh pani
Joshish Azimabadi
husn aur ishq ka mazkur na howe jab tak
mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka
Joshish Azimabadi
hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat
hum hote na talib jo wo matlub na hota
Jurat Qalandar Bakhsh