hijr mein muztarib sa ho ho ke
chaar-su dekhta hun ro ro ke
Jurat Qalandar Bakhsh
mat dekh ki phirta hun tere hijr mein zinda
ye puchh ki jine mein maza hai ki nahin hai
Kaif Bhopali
main lafz lafz mein tujh ko talash karta hun
sawal mein nahin aata na aa jawab mein aa
Karamat Ali Karamat
meri nazar mein wahi mohni si murat hai
ye raat hijr ki hai phir bhi KHub-surat hai
Khalilur Rahman Azmi
tumhein KHayal nahin kis tarah bataen tumhein
ki sans chalti hai lekin udas chalti hai
Mahboob Khizan
yun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise wo baat karte jate hain
Mahesh Chandra Naqsh
aDi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunao ki nind aa jae
Mahshar Inayati