اردو हिंदी
Ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab mein aa? | Shaahi Shayari
ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab mein aa?

Ghazal

Ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab mein aa?

Karamat Ali Karamat

;

ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab mein aa?
shuur-e-rang-e-wafa ban ke aaftab mein aa

faza ko tu ne moattar kiya to kya hasil?
maza to jab hai ki phir lauT kar gulab mein aa

main lafz lafz mein tujh ko talash karta hun
sawal mein nahin aata na aa jawab mein aa

ghuTa ghuTa sa na rah tajrabon ke mahbas mein
sarir-e-waqt ki rahon se tu kitab mein aa

jala ke taq-e-adam mein masarraton ke charagh
tu aarzu ke chamakte hue sarab mein aa

falak ki had se pare hai teri uDan to kya?
magar kabhi kabhi dharti ke is azab mein aa

naniyat ka nasha ban ke chha na mahfil par
utarna hai to utar kar sharab-e-nab mein aa

'karamat' aaj zamana jo de raha hai dagha
zara si baat pe hargiz na iztirab mein aa