اردو हिंदी
Mughanniyon ko bulao ki nind aa jae | Shaahi Shayari
mughanniyon ko bulao ki nind aa jae

Ghazal

Mughanniyon ko bulao ki nind aa jae

Mahshar Inayati

;

mughanniyon ko bulao ki nind aa jae
kaho wo git sunao ki nind aa jae

chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi
na intizar baDhao ki nind aa jae

charagh-e-umr-e-guzashta bujha diya kis ne
wahi charagh jalao ki nind aa jae

haqiqaton ne to khul khul ke nind uDa di hai
nae tilism banao ki nind aa jae

sukun-nasibo idhar aao aur koi tadbir
zara hamein bhi batao ki nind aa jae

baDi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunao ki nind aa jae