اردو हिंदी
Dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main | Shaahi Shayari
dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

Ghazal

Dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

;

dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main

duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main
sarf-e-nigah-o-ah kiye ja raha hun main

fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main
rahmat ko be-panah kiye ja raha hun main

aisi bhi ek nigah kiye ja raha hun main
zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha hun main

mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand
KHud husn ko gawah kiye ja raha hun main

daftar hai ek mani-e-be-lafz-o-saut ka
sada si jo nigah kiye ja raha hun main

aage qadam baDhaen jinhen sujhta nahin
raushan charagh-e-rah kiye ja raha hun main

masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai
aise bhi kuchh gunah kiye ja raha hun main

tanqid-e-husn maslahat-e-KHas-e-ishq hai
ye jurm gah gah kiye ja raha hun main

uThti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru
nadida ek nigah kiye ja raha hun main

gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz
kanTon se bhi nibah kiye ja raha hun main

yun zindagi guzar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main

mujh se ada hua hai 'jigar' justuju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hun main