اردو हिंदी
Us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe | Shaahi Shayari
us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe

Ghazal

Us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe

Hafeez Jalandhari

;

us shoKH ne nigah na ki hum bhi chup rahe
hum ne bhi aah aah na ki hum bhi chup rahe

aaya na un ko ahd-e-mulaqat ka lihaz
hum ne bhi koi chah na ki hum bhi chup rahe

dekha kiye hamari taraf bazm-e-ghair mein
tajdid-e-rasm-o-rah na ki hum bhi chup rahe

tha zindagi se baDh ke hamein waza ka KHayal
jab umr ne nibah na ki hum bhi chup rahe

KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe

maghrur tha kamal-e-suKHan par bahut 'hafiz'
hum ne bhi wah-wah na ki hum bhi chup rahe