اردو हिंदी
Misal-e-KHak kahin par bikhar ke dekhte hain | Shaahi Shayari
misal-e-KHak kahin par bikhar ke dekhte hain

Ghazal

Misal-e-KHak kahin par bikhar ke dekhte hain

Humaira Rahat

;

misal-e-KHak kahin par bikhar ke dekhte hain
qarar mar ke milega to mar ke dekhte hain

suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain

kisi ki aankh mein Dhal jata hai hamara aks
jab aaine mein kabhi ban sanwar ke dekhte hain

hamare ishq ki miras hai bas ek hi KHwab
to aao hum use tabir kar ke dekhte hain

siwae KHak ke kuchh bhi nazar nahin aata
zamin pe jab bhi sitare utar ke dekhte hain

ye hukm hai ki zamin-e-'faraaz' mein likkhen
so is zamin mein hum panw dhar ke dekhte hain