اردو हिंदी
Shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha | Shaahi Shayari
shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha

Ghazal

Shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha

Hijr Nazim Ali Khan

;

shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha
ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha

kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunah se achchha gunah-gar raha

tera KHayal bhi kis darja shoKH hai ai shoKH
ki jitni der raha dil mein be-qarar raha

sharab-e-ishq faqat ek zara si chakkhi thi
baDa surur ghuTa muddaton KHumar raha

unhen gharaz unhen matlab wo haal kyun puchhen
bala se un ki agar koi be-qarar raha

tumhein kabhi na kabhi mar ke bhi dikha dunga
jo zindagi ne wafa ki jo barqarar raha

adaen dekh chuke aaine mein aap apni
bataiye to sahi dil par iKHtiyar raha

shab-e-visal baDe lutf se kaTi ai 'hijr'
tamam raat kisi ke gale ka haar raha