na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
Anwar Dehlvi
achchha KHasa baiThe baiThe gum ho jata hun
ab main aksar main nahin rahta tum ho jata hun
Anwar Shuoor
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
Arsh Malsiyani
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq
kis ne bhige hue baalon se ye jhaTka pani
jhum ke aai ghaTa TuT ke barsa pani
Arzoo Lakhnavi
puchha jo un se chand nikalta hai kis tarah
zulfon ko ruKH pe Dal ke jhaTka diya ki yun
Arzoo Lakhnavi
kuchh tumhaari nigah kafir thi
kuchh mujhe bhi KHarab hona tha
Asrar-ul-Haq Majaz