wo aks ban ke meri chashm-e-tar mein rahta hai
ajib shaKHs hai pani ke ghar mein rahta hai
Bismil Sabri
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
Chakbast Brij Narayan
ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne
kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota
Chiragh Hasan Hasrat
aur honge teri mahfil se ubharne wale
hazrat-e-'dagh' jahan baiTh gae baiTh gae
others might dedide to depart from your domain
but once 'Daag' settles down there shall he remain
Dagh Dehlvi
di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat
hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya
Dagh Dehlvi
hazrat-e-dagh jahan baiTh gae baiTh gae
aur honge teri mahfil se ubharne wale
Dagh Dehlvi
KHabar sun kar mere marne ki wo bole raqibon se
KHuda baKHshe bahut si KHubiyan thin marne wale mein
upon my death she stated to my rivals, if you please
may God spare the parted soul had many qualities
Dagh Dehlvi