اردو हिंदी
Jab na aane ki qasam aapne kha rakkhi thi | Shaahi Shayari
jab na aane ki qasam aapne kha rakkhi thi

Ghazal

Jab na aane ki qasam aapne kha rakkhi thi

Nazeer Baaqri

;

jab na aane ki qasam aap ne kha rakkhi thi
main ne phir kis ke liye shama jala rakkhi thi

rakh diya un ko bhi jholi mein sitamgaron ki
main ne jin hathon se buniyaad-e-wafa rakkhi thi

jaanta kaun bhala kaise kisi ke haalat
waqt ne bich mein diwar uTha rakkhi thi

is liye chal na saka koi bhi KHanjar mujh par
meri shah-rag pe meri man ki dua rakkhi thi

kis liye mujh ko na suli pe chaDhaya jata
munsifon ne ye mere sach ki saza rakkhi thi