اردو हिंदी
Ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai | Shaahi Shayari
ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai

Ghazal

Ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai

Abrar Ahmad

;

ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai
tere liye mere dil se dua nikalti hai

qadam baDhaun teri rahguzar hai aaKHir
magar ye rah kahin aur ja nikalti hai

yahin kahin pe hai rasta dawam-e-wasl ka bhi
yahin kahin se hi rah-e-fana nikalti hai

zarur hota hai ranj-e-safar masafat mein
ki jaise chalne se aawaz-e-pa nikalti hai

yahan wahan kisi chehre mein DhunDte hain tumhein
hamare milne ki surat bhi kya nikalti hai

har ek aankh mein hoti hai muntazir koi aankh
har ek dil mein kahin kuchh jagah nikalti hai

jo ho sake to suno zaKHma-e-KHamoshi ko
ki us se khoe huon ki sada nikalti hai

hum apni rah pakaDte hain dekhte bhi nahin
ki kis Dagar pe ye KHalq-e-KHuda nikalti hai