zalim ne kya nikali raftar rafta rafta
is chaal par chalegi talwar rafta rafta
Dagh Dehlvi
umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen
waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya
Fasih Akmal
parda-e-lutf mein ye zulm-o-sitam kya kahiye
hae zalim tera andaz-e-karam kya kahiye
Firaq Gorakhpuri
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
Ghamgeen Dehlvi
arq ko abr ke daman mein chhupa dekha hai
hum ne us shoKH ko majbur-e-haya dekha hai
hidden midst the clouds, lightning I did see
that sprite was today subdued by modesty
Hasrat Mohani
kare hai adawat bhi wo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
Kaleem Aajiz
zamana husn nazakat bala jafa shoKHi
simaT ke aa gae sab aap ki adaon mein
Kalidas Gupta Raza