e-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale
in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai
Abul Kalam Azad
pamal kar ke puchhte hain kis ada se wo
is dil mein aag thi mere talwe jhulas gae
Agha Shayar Qazalbash
pahle is mein ek ada thi naz tha andaz tha
ruThna ab to teri aadat mein shamil ho gaya
Agha Shayar Qazalbash
haya se sar jhuka lena ada se muskura dena
hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena
how easy is for these maidens to make the lightening fall
Akbar Allahabadi
lagawaT ki ada se un ka kahna pan hazir hai
qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai
Akbar Allahabadi
aafat to hai wo naz bhi andaz bhi lekin
marta hun main jis par wo ada aur hi kuchh hai
Ameer Minai
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq