اردو हिंदी
Bayan jab kalim apni haalat kare hai | Shaahi Shayari
bayan jab kalim apni haalat kare hai

Ghazal

Bayan jab kalim apni haalat kare hai

Kaleem Aajiz

;

bayan jab 'kalim' apni haalat kare hai
ghazal kya paDhe hai qayamat kare hai

bhala aadmi tha pa nadan nikla
suna hai kisi se mohabbat kare hai

kabhi shairi is ko karni na aati
usi bewafa ki badaulat kare hai

chhuri par chhuri khae jae hai kab se
aur ab tak jiye hai karamat kare hai

kare hai adawat bhi wo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai

ye fitne jo har ek taraf uTh rahe hain
wahi baiTha baiTha shararat kare hai

qaba ek din chaak us ki bhi hogi
junun kab kisi ki riayat kare hai