nigahen is qadar qatil ki uff uff
adaen is qadar pyari ki tauba
Arzoo Lakhnavi
puchha jo un se chand nikalta hai kis tarah
zulfon ko ruKH pe Dal ke jhaTka diya ki yun
Arzoo Lakhnavi
is ada se mujhe salam kiya
ek hi aan mein ghulam kiya
Asif-ud-Daula
adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
Bekhud Dehlvi
ole wo muskura ke bahut iltija ke baad
ji to ye chahta hai teri man jaiye
Bekhud Dehlvi
wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana
jawani adaen sikhati hain kya kya
Bekhud Dehlvi
sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai
is ada ka kahin jawab bhi hai
Dagh Dehlvi