tere jamal ki taswir khinch dun lekin
zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin
Jigar Moradabadi
ye KHadd-o-KHal ye gesu ye surat-e-zeba
sabhi ka husn hai apni jagah magar aankhen
Khan Rizwan
KHuda bachae teri mast mast aankhon se
farishta ho to bahak jae aadmi kya hai
Khumar Barabankavi
hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab
zaKHm bahar ke jo andar nahin jaane dete
Khursheed Rizvi
jaan se ho gae badan KHali
jis taraf tu ne aankh bhar dekha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath
lo ab to hui malik-e-KHushki-o-tari aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye
ho jang bhi agar to mazedar jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar