talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main
magar ye log in aankhon ke KHwab mangte hain
Abbas Rizvi
aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr
ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya
Abbas Tabish
ek hasin aankh ke ishaare par
qafile rah bhul jate hain
Abdul Hamid Adam
jab tere nain muskuraate hain
zist ke ranj bhul jate hain
Abdul Hamid Adam
har lae hain hum aankh mein rakhne ko muqabil
ek KHwab-e-tamanna teri ghaflat ke baraba
Abrar Ahmad
har ek aankh mein hoti hai muntazir koi aankh
har ek dil mein kahin kuchh jagah nikalti hai
Abrar Ahmad
zara der baiThe the tanhai mein
teri yaad aankhen dukhane lagi
Adil Mansuri