un jhil si gahri aankhon mein
ek lahar si har dam rahti hai
Rasa Chughtai
log karte hain KHwab ki baaten
hum ne dekha hai KHwab aankhon se
Sabir Dutt
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun
aur aankhon ka KHazana tha ki KHali nikla
Saqi Faruqi
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'
saghar ko mere hath se lijo ki chala main
Sauda Mohammad Rafi
aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui
aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui
Shahryar
ab apne chehre par do patthar se sajae phirta hun
aansu le kar bech diya hai aankhon ki binai ko
Shahzad Ahmad
tumhaari aankh mein kaifiyyat-e-KHumar to hai
sharab ka na sahi nind ka asar hi sahi
Shahzad Ahmad