yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiye
bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya
Fani Badayuni
aankhon mein jo baat ho gai hai
ek sharh-e-hayat ho gai hai
Firaq Gorakhpuri
jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun
Firaq Gorakhpuri
aankhon se aansuon ke marasim purane hain
mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan
Gulzar
aankh kam-baKHt se us bazm mein aansu na ruka
ek qatre ne Duboya mujhe dariya ho ka
Hafeez Jalandhari
aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe
kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe
Imdad Ali Bahr
koi samjhae ki kya rang hai maiKHane ka
aankh saqi ki uThe nam ho paimane ka
Iqbal Safi Puri