اردو हिंदी
Jag mein aa kar idhar udhar dekha | Shaahi Shayari
jag mein aa kar idhar udhar dekha

Ghazal

Jag mein aa kar idhar udhar dekha

Khwaja Meer u0027Dardu0027

;

jag mein aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha

jaan se ho gae badan KHali
jis taraf tu ne aankh bhar dekha

nala fariyaad aah aur zari
aap se ho saka so kar dekha

un labon ne na ki masihai
hum ne sau sau tarah se mar dekha

zor aashiq-mizaj hai koi
'dard' ko qissa muKHtasar dekha