jo aae hashr mein wo sab ko marte aae
jidhar nigah phiri choT par lagai choT
Ahmad Husain Mail
han kabhi KHwab-e-ishq dekha tha
ab tak aankhon se KHun Tapakta hai
Akhtar Ansari
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukae rakhna
Akhtar Hoshiyarpuri
ahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud
khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai
Akhtar Saeed Khan
un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai
do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai
Akhtar Shirani
un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat
main Duba to mil gae Dube hue jahaz
Ameeq Hanafi
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab
wo alag bandh ke rakkha hai jo mal achchha hai
show me not your anger dear show me your youthful prime
the wealth that you have covered up is truly sublime
Ameer Minai