us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan
dusre Dubne wale ko pukare jaise
Irfan Siddiqi
aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho
nazron ko jhukae to shikayat si lage hai
Jaan Nisar Akhtar
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
Jaan Nisar Akhtar
hum mohabbat ka sabaq bhul gae
teri aankhon ne paDhaya kya hai
Jameel Mazhari
hasin teri aanhken hasin tere aansu
yahin Dub jaane ko ji chahta hai
Jigar Moradabadi
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
Jigar Moradabadi
teri aankhon ka kuchh qusur nahin
han mujhi ko KHarab hona tha
Jigar Moradabadi