اردو हिंदी
Ye humse puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai | Shaahi Shayari
ye humse puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai

Ghazal

Ye humse puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai

Akhtar Saeed Khan

;

ye hum se puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai
tumhin kaho sila-e-KHun-e-kushtagan kya hai

asir-e-band-e-KHizan hun na puchh ai sayyaad
KHiram kya hai saba kya hai gulsitan kya hai

hui hai umr ki dil ko nazar se rabt nahin
magar ye silsila-e-chashm-e-KHun-fishan kya hai

nazar uThe to na samjhun jhuke to kya samjhun
sukut-e-naz ye paira-e-bayan kya hai

bahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud
khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai

nigah-e-yas tere hath hai bharam dil ka
kahin wo jaan na len ishq ki zaban kya hai

ye aur baat ki hum tum ko bewafa na kahen
magar ye jaante hain jaur-e-asman kya hai

main shikwa-sanj nahin apni tira-baKHti ka
magar batao to ye subh-e-zar-fishan kya hai