ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin 
mast sare shahr wale KHun ki holi mein the
Aal-e-Ahmad Suroor
abhi aate nahin us rind ko aadab-e-mai-KHana 
jo apni tishnagi ko faiz-e-saqi ki kami samjhe
Aal-e-Ahmad Suroor
astiyan kuchh huin viran to matam kaisa 
kuchh KHarabe bhi to aabaad hua karte hain
Aal-e-Ahmad Suroor
hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka 
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
Aal-e-Ahmad Suroor
hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas 
ghaur se dekha to apne mein kami pai gai
Aal-e-Ahmad Suroor
hasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se 
ye KHwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai
Aal-e-Ahmad Suroor
husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin 
aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi
Aal-e-Ahmad Suroor

