اردو हिंदी
Dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai | Shaahi Shayari
dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

Ghazal

Dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

Aal-e-Ahmad Suroor

;

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai
sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai

fikr hai sahmi hui jazba hai murjhaya hua
mauj ki shorish gai dariya ki gahrai gai

husn bhi hai maslahat-bin ishq bhi duniya-shanas
aap ki shohrat gai yaron ki ruswai gai

hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas
ghaur se dekha to apne mein kami pai gai

zaKHm milte hain ilaj-e-zaKHm-e-dil milta nahin
waz-e-qatil rah gai rasm-e-masihai gai

gard uDai jo siyasat ne wo aaKHir dhul gai
ahl-e-dil ki KHak mein bhi zindagi pai gai

meri maddham lai ka jadu ab bhi baqi hai 'surur'
fasl ke naghme gae mausam ki shahnai gai