jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam 
kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai
Aal-e-Ahmad Suroor
jo tere dar se uTha phir wo kahin ka na raha 
us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain
Aal-e-Ahmad Suroor
kuchh to hai waise hi rangin lab o ruKHsar ki baat 
aur kuchh KHun-e-jigar hum bhi mila dete hain
Aal-e-Ahmad Suroor
log mange ke ujale se hain aise marub 
raushni apne charaghon ki buri lagti hai
Aal-e-Ahmad Suroor
mai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho 
hath mein apne agar jam liya hai tum ne
Aal-e-Ahmad Suroor
sahil ke sukun se kise inkar hai lekin 
tufan se laDne mein maza aur hi kuchh hai
Aal-e-Ahmad Suroor
tamam umr kaTi us ki justuju karte 
baDe dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai
Aal-e-Ahmad Suroor

