main kya karunga rah ke is jahan mein 
jahan pe ek KHwab ki numu na ho
Aamir Suhail
zara si chae giri aur dagh dagh waraq 
ye zindagi hai ki aKHbar ka tarasha hai
Aamir Suhail
aaj zara si der ko apne andar jhank kar dekha tha 
aaj mera aur ek wahshi ka sath raha pal do pal ka
Aanis Moin
aaKHir ko ruh toD hi degi hisar-e-jism 
kab tak asir KHushbu rahegi gulab mein
Aanis Moin
ajab andaz se ye ghar gira hai 
mera malba mere upar gira hai
Aanis Moin
andar ki duniya se rabt baDhao 'anis' 
bahar khulne wali khiDki band paDi hai
Aanis Moin
anjam ko pahunchunga main anjam se pahle 
KHud meri kahani bhi sunaega koi au
Aanis Moin

