tumhaari maslahat achchhi ki apna ye junun behtar
sambhal kar girne walo hum to gir gir kar sambhle hain
Aal-e-Ahmad Suroor
wo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal
der tak us ki balaghat ko paDha karte hain
Aal-e-Ahmad Suroor
ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the
sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai
Aal-e-Ahmad Suroor
andishen ishq mein duniya se nirali dekhen
dil taDap jae magar lab na hilae koi
Aal-e-Raza Raza
dard-e-dil aur jaan-lewa pursishen
ek bimari ki sau bimariyan
Aal-e-Raza Raza
hum ne be-intiha wafa kar ke
be-wafaon se intiqam liya
Aal-e-Raza Raza
qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai
ghar phunk tamasha dekh chuke ab jangal jangal rona hai
Aal-e-Raza Raza