اردو हिंदी
Jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi | Shaahi Shayari
jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

Ghazal

Jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

Aal-e-Ahmad Suroor

;

jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi
aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi

hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi

yan tishna-kaamiyan to muqaddar hain zist mein
milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi

aati hai dhaar un ke karam se shuur mein
dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi

manzil ki justuju mein jise chhoD aae the
aata hai yaad kyun wahi manzar kabhi kabhi

mana ye zindagi hai farebon ka silsila
dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi

yun to nashat-e-kar ki sarshaariyan milin
anjam-e-kar ka bhi raha Dar kabhi kabhi

dil ki jo baat thi wo rahi dil mein ai 'surur'
khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi