اردو हिंदी
Aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi | Shaahi Shayari
aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

Ghazal

Aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

Aal-e-Ahmad Suroor

;

aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi
mai baDi ifraat se thi phir bhi sarshaari na thi

ek hum qadron ki pamali se rahte the malul
shukr hai yaron ko aisi koi bimari na thi

zehn ki parwaz ho ya shauq ki ramish-gari
koi aazadi na thi jis mein giraftari na thi

josh tha hangama tha mahfil mein teri kya na tha
ek faqat aadab-e-mahfil ki nigah-dari na thi

un ki mahfil mein nazar aae sabhi shoala-ba-kaf
apne daman mein magar koi bhi chingari na thi

kal isi basti mein kuchh ahl-e-wafa hote to the
is qadar ahl-e-hawas ki garm-bazari na thi

husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin
aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi