samajh to ye ki na samjhe KHud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota
Aal-e-Raza Raza
tum 'raza' ban ke musalman jo kafir hi rahe
tum se behtar hai wo kafir jo musalman na hua
Aal-e-Raza Raza
un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se hum
ghuT ghuT ke mar rahe hain ajab bebasi se hum
Aal-e-Raza Raza
us bewafa se kar ke wafa mar-miTa 'raza'
ek qissa-e-tawil ka ye iKHtisar hai
Aal-e-Raza Raza
aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan
aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
Aalok Shrivastav
yahi to ek tamanna hai is musafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaara pyar chale
Aalok Shrivastav
ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin
Aalok Shrivastav